be-KHabar ho ke bhi KHabar rakhna
be-ḳhabar ho ke bhī ḳhabar rakhnā
apnī ġhaflat pe ḳhud nazar rakhnā
ranjisheñ laakh dil meñ hoñ tere
guftugū phir bhī mo'atabar rakhnā
zindagī ek chiiz hai anmol
is ko behad sañbhāl kar rakhnā
ḳhauf khānā na dushmanoñ se tum
dostoñ par magar nazar rakhnā
kis ko mohlat hai baat sunñe kī
apnī rūdād muḳhtasar rakhnā
yuuñ to hai iḳhtiyār meñ sab kuchh
dil pe qaabū 'sharar' magar rakhnā
be-KHabar ho ke bhi KHabar rakhna
apni ghaflat pe KHud nazar rakhna
ranjishen lakh dil mein hon tere
guftugu phir bhi mo'atabar rakhna
zindagi ek chiz hai anmol
is ko behad sanbhaal kar rakhna
KHauf khana na dushmanon se tum
doston par magar nazar rakhna
kis ko mohlat hai baat sunne ki
apni rudad muKHtasar rakhna
yun to hai iKHtiyar mein sab kuchh
dil pe qabu 'sharar' magar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.