Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-KHabar hone se pahle ki KHabar to dekhte

Mohammad Naim Jawed Naim

be-KHabar hone se pahle ki KHabar to dekhte

Mohammad Naim Jawed Naim

MORE BYMohammad Naim Jawed Naim

    be-ḳhabar hone se pahle ḳhabar to dekhte

    Dūbte sūraj jānib ik nazar to dekhte

    chheḌ kar zikr-e-judā.ī sāmne us ke kabhī

    us ke chehre se huvaidā us Dar to dekhte

    dekhne us ko galī samt gar jaane ko the

    auj par betābi-e-dīvār-o-dar to dekhte

    jis ne milnā nahīñ hai us ko paane talāsh

    be-vajah kar ke kabhī koī safar to dekhte

    haath se chhū kar nahīñ to paas kar use

    shahr meñ utrā hai ik rashk-e-qamar to dekhte

    garmiyoñ meñ dasht-e-hijrāñ safar rakhnā kabhī

    dhuup meñ jal kar samar dete shajar to dekhte

    raat tārīkiyoñ meñ ghar se niklo to 'na'īm'

    dekhte haiñ kis tarah se be-basar to dekhte

    be-KHabar hone se pahle ki KHabar to dekhte

    Dubte suraj ki jaanib ek nazar to dekhte

    chheD kar zikr-e-judai samne us ke kabhi

    us ke chehre se huwaida us ka Dar to dekhte

    dekhne us ko gali ki samt gar jaane ko the

    auj par betabi-e-diwar-o-dar to dekhte

    jis ne milna hi nahin hai us ko pane ki talash

    be-wajah kar ke kabhi koi safar to dekhte

    hath se chhu kar nahin to pas hi ja kar use

    shahr mein utra hai ek rashk-e-qamar to dekhte

    garmiyon mein dasht-e-hijran ka safar rakhna kabhi

    dhup mein jal kar samar dete shajar to dekhte

    raat ki tarikiyon mein ghar se niklo to 'na'im'

    dekhte hain kis tarah se be-basar to dekhte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now