be-KHabar hote hoe bhi ba-KHabar lagte ho tum
be-ḳhabar hote ho.e bhī bā-ḳhabar lagte ho tum
duur rah kar bhī mujhe nazdīk-tar lagte ho tum
kyuuñ na aa.uuñ saj sañvar kar maiñ tumhāre sāmne
ḳhush-adā lagte ho mujh ko ḳhush-nazar lagte ho tum
tum ne lams-e-mo'tabar se baḳhsh dī vo raushnī
mujh ko merī ārzūoñ kī sahar lagte ho tum
jis ke saa.e meñ amaañ miltī hai merī ziist ko
mujh ko jaltī dhuup meñ aisā shajar lagte ho tum
kyuuñ tumhāre saath chalne par na āmāda ho dil
ḳhushbū-e-ehsās mere ham-safar lagte ho tum
'nāz' tum par naaz kartī hai mohabbat kī qasam
zindagī bhar kī duāoñ kā asar lagte ho tum
be-KHabar hote hoe bhi ba-KHabar lagte ho tum
dur rah kar bhi mujhe nazdik-tar lagte ho tum
kyun na aaun saj sanwar kar main tumhaare samne
KHush-ada lagte ho mujh ko KHush-nazar lagte ho tum
tum ne lams-e-mo'tabar se baKHsh di wo raushni
mujh ko meri aarzuon ki sahar lagte ho tum
jis ke sae mein aman milti hai meri zist ko
mujh ko jalti dhup mein aisa shajar lagte ho tum
kyun tumhaare sath chalne par na aamada ho dil
KHushbu-e-ehsas mere ham-safar lagte ho tum
'naz' tum par naz karti hai mohabbat ki qasam
zindagi bhar ki duaon ka asar lagte ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.