be-KHabar hun hosh ka aalam nahin
be-ḳhabar huuñ hosh kā aalam nahīñ
ye bhī kuchh us kī ināyat kam nahīñ
mere hoñToñ par tabassum dekh kar
kyoñ samajhte ho ki dil meñ ġham nahīñ
shān-e-ġham is meñ nahīñ aañsū baheñ
qahqahe bhī āñsuoñ se kam nahīñ
jal uThā hai dil meñ ik aisā charāġh
raushnī jis kī kabhī maddham nahīñ
chashm-e-shā.ir chashm hai nargis nahīñ
is kā hāsil ḳhuun hai shabnam nahīñ
'tāhira' jis meñ na ho soz-e-darūñ
sirf ik haivān hai aadam nahīñ
be-KHabar hun hosh ka aalam nahin
ye bhi kuchh us ki inayat kam nahin
mere honTon par tabassum dekh kar
kyon samajhte ho ki dil mein gham nahin
shan-e-gham is mein nahin aansu bahen
qahqahe bhi aansuon se kam nahin
jal uTha hai dil mein ek aisa charagh
raushni jis ki kabhi maddham nahin
chashm-e-shair chashm hai nargis nahin
is ka hasil KHun hai shabnam nahin
'tahira' jis mein na ho soz-e-darun
sirf ek haiwan hai aadam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.