be-KHabar kuchh na jite ji samjhe
be-ḳhabar kuchh na jiite jī samjhe
jaañ se guzrī to zindagī samjhe
ab bahut der ho chukī chhoḌo
marte marte bhī kyā koī samjhe
ik zarā ā.īna dikhāyā thā
aap jis ko kharī kharī samjhe
dhun ke pakke haiñ kar hī jā.eñge
jo bhī is dil ne Thaan lī samjheñ
ham the ḳhauf-e-fasād-e-ḳhalq se chup
log ehsās-e-bartarī samjhe
o merā haal pūchhne vaale
baat ab vo nahīñ rahī samjhe
jo samajhne kā dam bhare 'sīmā'
kyā hī achchhā ho vāqa.ī samjhe
be-KHabar kuchh na jite ji samjhe
jaan se guzri to zindagi samjhe
ab bahut der ho chuki chhoDo
marte marte bhi kya koi samjhe
ek zara aaina dikhaya tha
aap jis ko khari khari samjhe
dhun ke pakke hain kar hi jaenge
jo bhi is dil ne Than li samjhen
hum the KHauf-e-fasad-e-KHalq se chup
log ehsas-e-bartari samjhe
o mera haal puchhne wale
baat ab wo nahin rahi samjhe
jo samajhne ka dam bhare 'sima'
kya hi achchha ho waqai samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.