be-KHayali hai kuchh KHayal nahin
be-ḳhayālī hai kuchh ḳhayāl nahīñ
ab ġham-e-jāñ kā bhī malāl nahīñ
din nikaltā hai aur Dhaltā hai
hai ġhalat dosto zavāl nahīñ
zindagī ġham tirī amānat hai
tujh se merā koī savāl nahīñ
dostoñ ne bhī saath chhoḌ diyā
jeb meñ jab se merī maal nahīñ
husn vaale bahut haiñ duniyā meñ
aap jaisā magar jamāl nahīñ
shā'irī apnā mashġhala hai 'ḳhatīb'
rāhat-e-jāñ hai ye vabāl nahīñ
be-KHayali hai kuchh KHayal nahin
ab gham-e-jaan ka bhi malal nahin
din nikalta hai aur Dhalta hai
hai ghalat dosto zawal nahin
zindagi gham teri amanat hai
tujh se mera koi sawal nahin
doston ne bhi sath chhoD diya
jeb mein jab se meri mal nahin
husn wale bahut hain duniya mein
aap jaisa magar jamal nahin
sha'iri apna mashghala hai 'KHatib'
rahat-e-jaan hai ye wabaal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.