be-KHud hain be-KHudi ki saza pa rahe hain hum
be-ḳhud haiñ be-ḳhudī kī sazā pā rahe haiñ ham
misl-e-habāb ban ke miTe jā rahe haiñ ham
ma.abūd kaun mashq-e-ibādat the kis liye
nāhaq ye bojh sar pe liye jā rahe haiñ ham
vaa.iz sharāb piine de ham se gila na kar
saaqī pilā rahā hai piye jā rahe haiñ ham
hogī tirī guzar na kabhī jis dayār meñ
zāhid hameñ na chheḌ vahīñ jā rahe haiñ ham
'ānand' ke karishme sabhī soz-o-sāz haiñ
har nai meñ saut-e-ġhaib sune jā rahe haiñ ham
be-KHud hain be-KHudi ki saza pa rahe hain hum
misl-e-habab ban ke miTe ja rahe hain hum
mabud kaun mashq-e-ibaadat the kis liye
nahaq ye bojh sar pe liye ja rahe hain hum
waiz sharab pine de hum se gila na kar
saqi pila raha hai piye ja rahe hain hum
hogi teri guzar na kabhi jis dayar mein
zahid hamein na chheD wahin ja rahe hain hum
'anand' ke karishme sabhi soz-o-saz hain
har nai mein saut-e-ghaib sune ja rahe hain hum
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 137)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.