be-KHud-o-hushiyar ki baaten karen
be-ḳhud-o-hushiyār kī bāteñ kareñ
sarmad-e-sarshār kī bāteñ kareñ
sumbulistāñ hai nazar ke sāmne
husn-e-zulf-e-yār kī bāteñ kareñ
lāla-o-gul ke hai joban par nikhār
ab lab-o-ruḳhsār kī bāteñ kareñ
hai jahāñ meñ āmad-e-fasl-e-bahār
ab gul-o-gulzār kī bāteñ kareñ
dard-e-dil se 'jauhar' āñkheñ zard haiñ
nargis-e-bīmār kī bāteñ kareñ
be-KHud-o-hushiyar ki baaten karen
sarmad-e-sarshaar ki baaten karen
sumbulistan hai nazar ke samne
husn-e-zulf-e-yar ki baaten karen
lala-o-gul ke hai joban par nikhaar
ab lab-o-ruKHsar ki baaten karen
hai jahan mein aamad-e-fasl-e-bahaar
ab gul-o-gulzar ki baaten karen
dard-e-dil se 'jauhar' aankhen zard hain
nargis-e-bimar ki baaten karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.