be-KHudi ki misal hun shayad
be-ḳhudī kī misāl huuñ shāyad
sāġhar-e-ḳhasta-hāl huuñ shāyad
shaad huuñ maiñ magar pas-e-parda
dard-o-ranj-o-malāl huuñ shāyad
huuñ qafas meñ koī talātum sā
zindagī kī misāl huuñ shāyad
ab to būjhe nahīñ koī mujh ko
ek mushkil savāl huuñ shāyad
itne ġham jhel ke bhī zinda huuñ
bā-ḳhudā lā-zavāl huuñ shāyad
raas mujh ko ḳhushī nahīñ aatī
zabt-e-āzurda-hāl huuñ shāyad
merā kitnā ḳhayāl hai un ko
is liye maiñ 'ḳhayāl' huuñ shāyad
be-KHudi ki misal hun shayad
saghar-e-KHasta-haal hun shayad
shad hun main magar pas-e-parda
dard-o-ranj-o-malal hun shayad
hun qafas mein koi talatum sa
zindagi ki misal hun shayad
ab to bujhe nahin koi mujh ko
ek mushkil sawal hun shayad
itne gham jhel ke bhi zinda hun
ba-KHuda la-zawal hun shayad
ras mujh ko KHushi nahin aati
zabt-e-azurda-haal hun shayad
mera kitna KHayal hai un ko
is liye main 'KHayal' hun shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.