be-KHudi mein KHumar ki baaten
be-ḳhudī meñ ḳhumār kī bāteñ
jabr meñ iḳhtiyār kī bāteñ
jazba-e-be-qarār kī bāteñ
hoñ na hoñ haiñ bahār kī bāteñ
ek musht-e-ġhubār kī bāteñ
aur is e.atibār kī bāteñ
vo kareñ mujh se pyaar kī bāteñ
haiñ ye lail-o-nahār kī bāteñ
ban ga.iiñ hāl-e-zār kī bāteñ
bātoñ bātoñ meñ pyaar kī bāteñ
dil kī gahrā.iyoñ se hotī haiñ
dīda-e-ashk-bār kī bāteñ
tuul ġham ko deñ aap ke dushman
kījiye iḳhtisār kī bāteñ
be-qarārī kā raaz ban jaa.eñ
kaash dil ke qarār kī bāteñ
inqilābāt kā fasāna haiñ
gardish-e-rozgār kī bāteñ
asl nairangi-e-jahāñ kā kyā
chashm-e-be-e'tibār kī bāteñ
ḳhuub charche hue mohabbat ke
ḳhuub sunvā.eñ pyaar kī bāteñ
sādgī hī meñ 'shād' rahnā hai
haiñ girāñ sab vaqār kī bāteñ
be-KHudi mein KHumar ki baaten
jabr mein iKHtiyar ki baaten
jazba-e-be-qarar ki baaten
hon na hon hain bahaar ki baaten
ek musht-e-ghubar ki baaten
aur is eatibar ki baaten
wo karen mujh se pyar ki baaten
hain ye lail-o-nahaar ki baaten
ban gain haal-e-zar ki baaten
baaton baaton mein pyar ki baaten
dil ki gahraiyon se hoti hain
dida-e-ashk-bar ki baaten
tul gham ko den aap ke dushman
kijiye iKHtisar ki baaten
be-qarari ka raaz ban jaen
kash dil ke qarar ki baaten
inqilabaat ka fasana hain
gardish-e-rozgar ki baaten
asl nairangi-e-jahan ka kya
chashm-e-be-e'tibar ki baaten
KHub charche hue mohabbat ke
KHub sunwaen pyar ki baaten
sadgi hi mein 'shad' rahna hai
hain giran sab waqar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.