be-KHudi mein teri qurbat ke zamane dekhe
be-ḳhudī meñ tirī qurbat ke zamāne dekhe
tujh se vābasta ka.ī ḳhvāb suhāne dekhe
ham ne tahrīr kiye the jo lahū se apne
vus.at-e-arz pe bikhre vo fasāne dekhe
tujh ko mahsūs to har shai meñ kiyā hai ham ne
tujh ko dekhā na kahīñ tere Thikāne dekhe
sirf ik tere chamakte hue chehre ke sivā
shīsha-e-dil meñ sabhī aks purāne dekhe
daur-e-hāzir kī har ik shai se hue duur bahut
ham ne jab guzre hue apne zamāne dekhe
va.ada karke bhī na aane kī hasīñ bātoñ meñ
ham ne us shoḳh parī-rū ke bahāne dekhe
be-KHudi mein teri qurbat ke zamane dekhe
tujh se wabasta kai KHwab suhane dekhe
hum ne tahrir kiye the jo lahu se apne
wusat-e-arz pe bikhre wo fasane dekhe
tujh ko mahsus to har shai mein kiya hai hum ne
tujh ko dekha na kahin tere Thikane dekhe
sirf ek tere chamakte hue chehre ke siwa
shisha-e-dil mein sabhi aks purane dekhe
daur-e-hazir ki har ek shai se hue dur bahut
hum ne jab guzre hue apne zamane dekhe
wada karke bhi na aane ki hasin baaton mein
hum ne us shoKH pari-ru ke bahane dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.