be-lag hain hum humko rukawaT nahin aati
be-lag hain hum humko rukawaT nahin aati
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
be-lāg haiñ ham ham ko rukāvaT nahīñ aatī
kyā baat banāveñ ki banāvaT nahīñ aatī
hai dhyān lagā dar kī taraf par ka.ī din se
kānoñ meñ tire paañv kī aahaT nahīñ aatī
dandān-e-havas se use masla hai kisū ne
bose se to lab par ye nilāhaT nahīñ aatī
kājal ne tirī āñkhoñ meñ jo lutf diyā hai
har ek ke hisse ye ghulāvaT nahīñ aatī
kyā jāma-e-chaspāñ kā tire vasf karūñ maiñ
taqrīr meñ kuchh us kī sajāvaT nahīñ aatī
hai rañg siyāhī liye juuñ us kī hinā kā
hāthoñ pe har ik ke ye udāhaT nahīñ aatī
ai 'mus.hafī' baiThe haiñ ham us bazm meñ ḳhāmosh
kyā baat banāveñ ki banāvaT nahīñ aatī
be-lag hain hum hum ko rukawaT nahin aati
kya baat banawen ki banawaT nahin aati
hai dhyan laga dar ki taraf par kai din se
kanon mein tere panw ki aahaT nahin aati
dandan-e-hawas se use masla hai kisu ne
bose se to lab par ye nilahaT nahin aati
kajal ne teri aankhon mein jo lutf diya hai
har ek ke hisse ye ghulawaT nahin aati
kya jama-e-chaspan ka tere wasf karun main
taqrir mein kuchh us ki sajawaT nahin aati
hai rang siyahi liye jun us ki hina ka
hathon pe har ek ke ye udahaT nahin aati
ai 'mushafi' baiThe hain hum us bazm mein KHamosh
kya baat banawen ki banawaT nahin aati
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 236)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.