be-laus hon rishte to bhulae nahin jate
be-laus hon rishte to bhulae nahin jate
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
be-laus hoñ rishte to bhulā.e nahīñ jaate
fānūs sar-e-shām bujhā.e nahīñ jaate
āñkhoñ kā ye chashma bhī huā ḳhushk mire dost
bekār meñ ab ashk bahā.e nahīñ jaate
hotī haiñ tabī.at meñ ka.ī bāñjh zamīneñ
phal jin pe mohabbat ke ugaa.e nahīñ jaate
kuchh lafz adā chaah ke hote nahīñ ham se
kuchh vāqiye likh kar bhī sunā.e nahīñ jaate
ab mujh ko tire qurb kī ḳhvāhish hī nahīñ hai
ab mujh se tire naaz uThā.e nahīñ jaate
ho jaate haiñ yādoñ ke darīchoñ meñ muqayyad
kuchh log suhūlat se bhulā.e nahīñ jaate
ham faqr ke tālib haiñ so mahbūb hai yaktā
sar ham se har ik dar pe jhukā.e nahīñ jaate
ho jaatā huuñ sairāb safar kar ke maiñ in meñ
ḳhvāboñ ke mahal mujh se girā.e nahīñ jaate
be-laus hon rishte to bhulae nahin jate
fanus sar-e-sham bujhae nahin jate
aankhon ka ye chashma bhi hua KHushk mere dost
bekar mein ab ashk bahae nahin jate
hoti hain tabiat mein kai banjh zaminen
phal jin pe mohabbat ke ugae nahin jate
kuchh lafz ada chah ke hote nahin hum se
kuchh waqiye likh kar bhi sunae nahin jate
ab mujh ko tere qurb ki KHwahish hi nahin hai
ab mujh se tere naz uThae nahin jate
ho jate hain yaadon ke darichon mein muqayyad
kuchh log suhulat se bhulae nahin jate
hum faqr ke talib hain so mahbub hai yakta
sar hum se har ek dar pe jhukae nahin jate
ho jata hun sairab safar kar ke main in mein
KHwabon ke mahal mujh se girae nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.