be-lutf hai ye soch ki sauda nahin raha
be-lutf hai ye soch ki saudā nahīñ rahā
āñkheñ nahīñ rahīñ ki tamāshā nahīñ rahā
duniyā ko raas aa ga.iiñ ātish-parastiyāñ
pahle dimāġh-e-lāla-o-gul thā nahīñ rahā
fursat kahāñ ki soch ke kuchh gungunā.iye
koī kahīñ halāk-e-tamannā nahīñ rahā
ūñchī imāratoñ ne to vahshat ḳharīd lī
kuchh bach ga.ī to gosha-e-sahrā nahīñ rahā
dil mil gayā to vo utar aayā zamīn par
aahaT milī qadam kī to rasta nahīñ rahā
girdāb chīḳhtā hai ki dariyā udaas hai
dariyā ye kah rahā hai kinārā nahīñ rahā
miTTī se aag aag se gul gul se āftāb
terā ḳhayāl shahpar-e-tanhā nahīñ rahā
bātil ye e'tirāz ki tujh se lipaT gayā
mujh ko nashe meñ hosh kisī kā nahīñ rahā
ik baar yuuñ hī dekh liyā thā ḳhirām-e-nāz
phir lab pe naam sarv o saman kā nahīñ rahā
be-lutf hai ye soch ki sauda nahin raha
aankhen nahin rahin ki tamasha nahin raha
duniya ko ras aa gain aatish-parastiyan
pahle dimagh-e-lala-o-gul tha nahin raha
fursat kahan ki soch ke kuchh gungunaiye
koi kahin halak-e-tamanna nahin raha
unchi imaraton ne to wahshat KHarid li
kuchh bach gai to gosha-e-sahra nahin raha
dil mil gaya to wo utar aaya zamin par
aahaT mili qadam ki to rasta nahin raha
girdab chiKHta hai ki dariya udas hai
dariya ye kah raha hai kinara nahin raha
miTTi se aag aag se gul gul se aaftab
tera KHayal shahpar-e-tanha nahin raha
baatil ye e'tiraaz ki tujh se lipaT gaya
mujh ko nashe mein hosh kisi ka nahin raha
ek bar yun hi dekh liya tha KHiram-e-naz
phir lab pe nam sarw o saman ka nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.