Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-madad haq ke karen kya mardum-e-duniya madad

Insha Allah Khan Insha

be-madad haq ke karen kya mardum-e-duniya madad

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    be-madad haq ke kareñ kyā mardum-e-duniyā madad

    kab talak baalā madad ai ālam-e-bālā madad

    khīñchtā huuñ na.ara-e-haq kheltā dhamāl huuñ

    ai mire sā.īñ madad daatā madad maulā madad

    ab kisī muuzī ko juḌtā huuñ phir ek bhañg ghoTnā

    ho madad haq ho madad ho ho madad haahā madad

    firqa-e-ājūj-o-mājūj aa baham laḌte haiñ jab

    vahāñ kare hai āshiqoñ bhañg soñTā madad

    jitne haiñ nasūt abad hot bhāgeñ ho ke bhuut

    ek chuTkī bhar jo kar baiThe bhabūt apnā madad

    thī nigah-mastoñ june rajab haThelī chehre

    hazrat-e-vahshat madad ai joshish-e-saudā madad

    meñ hai ban kar zarā.ī le aap bhī lalkāriye

    na mard ādmi-pan ne girā ai 'inshā' madad

    naam par sālār-e-dil ke ishq-e-koḌā phir koī

    hinā dolā madad jalvā madad sehrā mad

    be-madad haq ke karen kya mardum-e-duniya madad

    kab talak baala madad ai aalam-e-baala madad

    khinchta hun nara-e-haq khelta dhamal hun

    ai mere sain madad data madad maula madad

    ab kisi muzi ko juDta hun phir ek bhang ghoTna

    ho madad haq ho madad ho ho madad haha madad

    firqa-e-ajuj-o-majuj aa baham laDte hain jab

    wahan kare hai aashiqon ki bhang ka sonTa madad

    jitne hain nasut ki abad hot bhagen ho ke bhut

    ek chuTki bhar jo kar baiThe bhabut apna madad

    thi nigah-maston ki june rajab haTheli ki chehre

    hazrat-e-wahshat madad ai joshish-e-sauda madad

    ji mein hai ban kar zarai le aap bhi lalkariye

    ki na mard aadmi-pan ne gira ai 'insha' madad

    nam par salar-e-dil ke ishq-e-koDa phir koi

    ga hina dola madad jalwa madad sehra mad

    Source :
    • Kulliyat-e-inshaallah khan insha
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now