be makan tarik dhaDkan gin gaya
be makāñ tārīk dhaḌkan gin gayā
chīḳhtā chiñghāḌtā engine gayā!
ro rahā thā shaam ko sūraj lahū
chalne vaalā thak gayā lekin gayā
qatra qatra raat sūkhī dasht meñ
reza reza pattharoñ se din gayā
shahr meñ pattoñ ne dastak chheḌ dī
ai havā kyā jañgaloñ kā sin gayā
rāstoñ kā jaal phailā rah gayā
ik bagūlā sā uThā aur jin gayā
ba.ad meñ thā bojh paper-weight kā
paḌh liyā mujh ko lagā kar pin gayā!
be-hisī thī aur naqsh-e-indimāl
zaḳhm kā zinda ta.alluq chhin gayā
be makan tarik dhaDkan gin gaya
chiKHta chinghaDta engine gaya!
ro raha tha sham ko suraj lahu
chalne wala thak gaya lekin gaya
qatra qatra raat sukhi dasht mein
reza reza pattharon se din gaya
shahr mein patton ne dastak chheD di
ai hawa kya jangalon ka sin gaya
raston ka jal phaila rah gaya
ek bagula sa uTha aur jin gaya
baad mein tha bojh paper-weight ka
paDh liya mujh ko laga kar pin gaya!
be-hisi thi aur naqsh-e-indimal
zaKHm ka zinda talluq chhin gaya
- Book : Khayaabaan (Pg. 122)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.