be-maqsad jab shor machaya jata hai
be-maqsad jab shor machāyā jaatā hai
aksar is meñ zulm chhupāyā jaatā hai
patte ḳhud hī Tahnī chhoḌ ke girte haiñ
mausam par ilzām lagāyā jaatā hai
sadiyoñ pyāsī is dhartī ke siine par
qatra qatra meñh barsāyā jaatā hai
lafzoñ ke ambār lagā kar kāġhaz par
ma.anī ko is meñ dafnāyā jaatā hai
is duniyā meñ jurm chhupāne kī ḳhātir
jurm vahī aksar dohrāyā jaatā hai
baḌhne phalne phūlne vaale sapnoñ ko
bachpan meñ hī qatl karāyā jaatā hai
muflis ko insāf dilāne vāloñ kā
daulat se darbār sajāyā jaatā hai
be-maqsad jab shor machaya jata hai
aksar is mein zulm chhupaya jata hai
patte KHud hi Tahni chhoD ke girte hain
mausam par ilzam lagaya jata hai
sadiyon pyasi is dharti ke sine par
qatra qatra meinh barsaya jata hai
lafzon ke ambar laga kar kaghaz par
mani ko is mein dafnaya jata hai
is duniya mein jurm chhupane ki KHatir
jurm wahi aksar dohraya jata hai
baDhne phalne phulne wale sapnon ko
bachpan mein hi qatl karaya jata hai
muflis ko insaf dilane walon ka
daulat se darbar sajaya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.