be-mausam hi aankhon mein bhar jate hain
be-mausam hī āñkhoñ meñ bhar jaate haiñ
aañsū bhī to chālākī kar jaate haiñ
dil kā saudā un ke bas kī baat nahīñ
aune-paune daam lagā kar jaate haiñ
har din zinda rahne meñ hai ḳharch bahut
aao chalo ik do din ko mar jaate haiñ
qatl ujāle bhī kar dete haiñ lekin
sab ilzām añdheroñ ke sar jaate haiñ
kaise jī lete haiñ log añdheroñ meñ
ham to sirf tasavvur se Dar jaate haiñ
reza reza honā un kī qismat hai
sū-e-falak jo be-bāl-o-par jaate haiñ
be-mausam hi aankhon mein bhar jate hain
aansu bhi to chaalaki kar jate hain
dil ka sauda un ke bas ki baat nahin
aune-paune dam laga kar jate hain
har din zinda rahne mein hai KHarch bahut
aao chalo ek do din ko mar jate hain
qatl ujale bhi kar dete hain lekin
sab ilzam andheron ke sar jate hain
kaise ji lete hain log andheron mein
hum to sirf tasawwur se Dar jate hain
reza reza hona un ki qismat hai
su-e-falak jo be-baal-o-par jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.