be-mausam ki baaten karne wale hain
be-mausam kī bāteñ karne vaale haiñ
ranj-o-ġham kī bāteñ karne vaale haiñ
zaḳhm haTo tum de do mujh ko rasta ab
ham marham kī bāteñ karne vaale haiñ
zamzam kī bāteñ bhī is meñ shāmil thiiñ
do aalam kī bāteñ karne vaale haiñ
koī adnāoñ kī bāteñ kartā nahīñ
sab aazam kī bāteñ karne vaale haiñ
baat huī ab ḳhatm samundar vāloñ kī
ab shabnam kī bāteñ karne vaale haiñ
be-mausam ki baaten karne wale hain
ranj-o-gham ki baaten karne wale hain
zaKHm haTo tum de do mujh ko rasta ab
hum marham ki baaten karne wale hain
zamzam ki baaten bhi is mein shamil thin
do aalam ki baaten karne wale hain
koi adnaon ki baaten karta nahin
sab aazam ki baaten karne wale hain
baat hui ab KHatm samundar walon ki
ab shabnam ki baaten karne wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.