be-mehri-e-wafa ne puchho na kya diya hai
be-mehrī-e-vafā ne pūchho na kyā diyā hai
āh-e-vidā-e-shab ne siina jalā diyā hai
nālā-kanāñ haiñ bulbul bhañvaroñ meñ be-dilī hai
ab ke vo bijliyoñ ne gulshan jalā diyā hai
baazī pe apne sar kī ik husn-e-be-badal se
ham ne mohabbatoñ kā na.ara lagā diyā hai
andhī mohabbatoñ ne har sāhab-e-vafā ko
dariyā dikhā diyā hai sahrā dikhā diyā hai
phirte idhar udhar haiñ logo makāñ-ba-sar haiñ
muddat se chain apnā ham ne gañvā diyā hai
lahreñ uchhal paḌīñ haiñ ik nāznīñ ne apne
paanī meñ paañv rakh kar mahshar uThā diyā hai
jis ko bhī sauñp Daalā 'ādil' nizām dil kā
mushkil usī ne merā jiinā banā diyā hai
be-mehri-e-wafa ne puchho na kya diya hai
aah-e-wida-e-shab ne sina jala diya hai
nala-kanan hain bulbul bhanwaron mein be-dili hai
ab ke wo bijliyon ne gulshan jala diya hai
bazi pe apne sar ki ek husn-e-be-badal se
hum ne mohabbaton ka nara laga diya hai
andhi mohabbaton ne har sahab-e-wafa ko
dariya dikha diya hai sahra dikha diya hai
phirte idhar udhar hain logo makan-ba-sar hain
muddat se chain apna hum ne ganwa diya hai
lahren uchhal paDin hain ek naznin ne apne
pani mein panw rakh kar mahshar uTha diya hai
jis ko bhi saunp Dala 'adil' nizam dil ka
mushkil usi ne mera jina bana diya hai
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.