be-murawwat bewafa begana-e-dil aap hain
be-muravvat bevafā begāna-e-dil aap haiñ
aap māneñ yā na māneñ mere qātil aap haiñ
aap se shikva hai mujh ko ġhair se shikva nahīñ
jāntī huuñ dil meñ rakh lene ke qābil aap haiñ
saañs letī huuñ to yuuñ mahsūs hotā hai mujhe
jaise mere dil kī har dhaḌkan meñ shāmil aap haiñ
ġham nahīñ jo laakh tūfānoñ se Takrānā paḌe
maiñ vo kashtī huuñ ki jis kashtī kā sāhil aap haiñ
be-murawwat bewafa begana-e-dil aap hain
aap manen ya na manen mere qatil aap hain
aap se shikwa hai mujh ko ghair se shikwa nahin
jaanti hun dil mein rakh lene ke qabil aap hain
sans leti hun to yun mahsus hota hai mujhe
jaise mere dil ki har dhaDkan mein shamil aap hain
gham nahin jo lakh tufanon se Takrana paDe
main wo kashti hun ki jis kashti ka sahil aap hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.