be-nam si KHalish ki jo dil mein jigar mein hai
be-nām sī ḳhalish ki jo dil meñ jigar meñ hai
halchal bapā kiye hue ye bahr-o-bar meñ hai
jaatī huī bahār ke manzar ko dekh kar
aatī huī bahār kā manzar nazar meñ hai
hai diid avvalīñ bhī yaqīnan hasīñ magar
baat aur hī nazāra-e-bār-e-digar meñ hai
aa.egī ek manzil be-shām-o-be-sahar
pinhāñ ye raaz gardish-e-shām-o-sahar meñ hai
'rāhī' vo ahl-e-dil haiñ ba-qaul-e-'amīr' ham
saare jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
be-nam si KHalish ki jo dil mein jigar mein hai
halchal bapa kiye hue ye bahr-o-bar mein hai
jati hui bahaar ke manzar ko dekh kar
aati hui bahaar ka manzar nazar mein hai
hai did awwalin bhi yaqinan hasin magar
baat aur hi nazara-e-bar-e-digar mein hai
aaegi ek manzil be-sham-o-be-sahar
pinhan ye raaz gardish-e-sham-o-sahar mein hai
'rahi' wo ahl-e-dil hain ba-qaul-e-'amir' hum
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.