be-nafas aur be-sada chehra
be-nafas aur be-sadā chehra
aisā hī lagtā hai mirā chehra
merā ik chehra dekhā hai tum ne
par nahīñ dekhā dūsrā chehra
us kī peshānī pe likhī thī bhuuk
maañ ne beTe kā jab paḌhā chehra
aisā chehra to mujh pe jachtā hai
kyoñ hai be-kaif aap kā chehra
ik diyā le ke aayā palkoñ par
ḳhaak sā vo bujhā bujhā chehra
in ġhamoñ ne to pheñkā thā tezāb
ġhazloñ ne de diyā nayā chehra
be-nafas aur be-sada chehra
aisa hi lagta hai mera chehra
mera ek chehra dekha hai tum ne
par nahin dekha dusra chehra
us ki peshani pe likhi thi bhuk
man ne beTe ka jab paDha chehra
aisa chehra to mujh pe jachta hai
kyon hai be-kaif aap ka chehra
ek diya le ke aaya palkon par
KHak sa wo bujha bujha chehra
in ghamon ne to phenka tha tezab
ghazlon ne de diya naya chehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.