be-nishan qadmon ki kahkashan pakaDte hain
be-nishān qadmoñ kī kahkashāñ pakaḌte haiñ
ham bhī kyā divāne haiñ āsmāñ pakaḌte haiñ
koī dil ko bheje hai raushnī kī tahrīreñ
rauzanoñ meñ kirnoñ kī Doriyāñ pakaḌte haiñ
zehn us ke paikar meñ Duub Duub jaatā hai
khelte hue bachche jab dhuāñ pakaḌte haiñ
aap gahre paanī kā ik baḌā samundar haiñ
ham to ek māñjhī haiñ machhliyāñ pakaḌte haiñ
ab kahāñ uchhalte haiñ dekh kar jahāzoñ ko
lekin aaj bhī bachche titliyāñ pakaḌte haiñ
ghar ke saare darvāze jāgte haiñ rātoñ ko
band band kamroñ kī choriyāñ pakaḌte haiñ
ye bhī ik baḌā fan hai āj-kal ke logoñ meñ
sher kah nahīñ sakte ḳhāmiyāñ pakaḌte haiñ
be-nishan qadmon ki kahkashan pakaDte hain
hum bhi kya diwane hain aasman pakaDte hain
koi dil ko bheje hai raushni ki tahriren
rauzanon mein kirnon ki Doriyan pakaDte hain
zehn us ke paikar mein Dub Dub jata hai
khelte hue bachche jab dhuan pakaDte hain
aap gahre pani ka ek baDa samundar hain
hum to ek manjhi hain machhliyan pakaDte hain
ab kahan uchhalte hain dekh kar jahazon ko
lekin aaj bhi bachche titliyan pakaDte hain
ghar ke sare darwaze jagte hain raaton ko
band band kamron ki choriyan pakaDte hain
ye bhi ek baDa fan hai aaj-kal ke logon mein
sher kah nahin sakte KHamiyan pakaDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.