be-niyaz-e-har-tamanna ho gaya
be-niyāz-e-har-tamannā ho gayā
ishq meñ ab husn paidā ho gayā
dard-e-dil ḳhud hī masīhā ho gayā
mar gayā bīmār achchhā ho gayā
dil meñ koī to adā-e-ḳhās thī
jalva ḳhud mahv-e-tamāshā ho gayā
ai nigāh-e-lutf parda chāhiye
soz-e-dil sāz-e-tamannā ho gayā
merī ḳhāmoshī fasāna ban ga.ī
ḳhud lab-e-ḳhāmosh goyā ho gayā
pā.emālī meñ nihāñ thī zindagī
dil miTā miT kar tamanna ho gayā
sāmne haiñ aur nazar aate haiñ
jalva ḳhud āñkhoñ kā parda ho gayā
is adā se aaj uTThī vo nazar
maiñ bharī mahfil meñ rusvā ho gayā
muskurā kar tum ne kyoñ dekhā mujhe
bijliyoñ ko ik bahāna ho gayā
is tarah jalva dikhāte haiñ kahīñ
har tamāshā.ī tamāshā ho gayā
ho ga.ī ḳhāmosh sham-e-zindagī
ḳhatm sab dil kā fasāna ho gayā
jo girā dāman pe aañsū ai 'munīr'
ā.īna-dār-e-tamanna ho gayā
be-niyaz-e-har-tamanna ho gaya
ishq mein ab husn paida ho gaya
dard-e-dil KHud hi masiha ho gaya
mar gaya bimar achchha ho gaya
dil mein koi to ada-e-KHas thi
jalwa KHud mahw-e-tamasha ho gaya
ai nigah-e-lutf parda chahiye
soz-e-dil saz-e-tamanna ho gaya
meri KHamoshi fasana ban gai
KHud lab-e-KHamosh goya ho gaya
paemali mein nihan thi zindagi
dil miTa miT kar tamanna ho gaya
samne hain aur nazar aate hain
jalwa KHud aankhon ka parda ho gaya
is ada se aaj uTThi wo nazar
main bhari mahfil mein ruswa ho gaya
muskura kar tum ne kyon dekha mujhe
bijliyon ko ek bahana ho gaya
is tarah jalwa dikhate hain kahin
har tamashai tamasha ho gaya
ho gai KHamosh sham-e-zindagi
KHatm sab dil ka fasana ho gaya
jo gira daman pe aansu ai 'munir'
aaina-dar-e-tamanna ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.