be-niyazi ki ek shan ban jaiye
be-niyāzī kī ik shaan ban jā.iye
mujh se dānista anjān ban jā.iye
sharh-e-hastī kā unvān ban jā.iye
merā diiñ merā īmān ban jā.iye
haa.e ye be-ḳhudī aur is kā ma.aal
ab ḳhudī ke nigahbān ban jā.iye
naqd-e-ahl-e-jahāñ dekhne ke liye
kuchh dinoñ ko pareshān ban jā.iye
aadmī se farishta ye imkāñ sahī
aa.iye aap insān ban jā.iye
kyā kamī hai jo un se guzārish karūñ
rang-o-nik.hat kā tūfān ban jā.iye
muhr-e-tasdīq-e-kirdār bhī hai kahīñ
aap banñe ko zīshān ban jā.iye
kā.enāt aur phir us kā aks-e-jamāl
pesh-e-ā.īna hairān ban jā.iye
ā’rifāna tajāhul ke qurbāñ 'urūj'
phir zarā aap anjān ban jā.iye
be-niyazi ki ek shan ban jaiye
mujh se danista anjaan ban jaiye
sharh-e-hasti ka unwan ban jaiye
mera din mera iman ban jaiye
hae ye be-KHudi aur is ka maal
ab KHudi ke nigahban ban jaiye
naqd-e-ahl-e-jahan dekhne ke liye
kuchh dinon ko pareshan ban jaiye
aadmi se farishta ye imkan sahi
aaiye aap insan ban jaiye
kya kami hai jo un se guzarish karun
rang-o-nikhat ka tufan ban jaiye
muhr-e-tasdiq-e-kirdar bhi hai kahin
aap banne ko zishan ban jaiye
kaenat aur phir us ka aks-e-jamal
pesh-e-aina hairan ban jaiye
aa’rifana tajahul ke qurban 'uruj'
phir zara aap anjaan ban jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.