be-qarari dil-e-muztar ki baDhai humne
be-qarārī dil-e-muztar kī baḌhā.ī ham ne
aaj phir tum se koī aas lagā.ī ham ne
mushkileñ rāh-e-vafā meñ bhī banā.īñ āsāñ
rasm-e-ulfat to ba-har-taur nibhā.ī ham ne
shāyad aa jaao kisī roz kabhī lauT ke tum
bas usī aas meñ har raah sajā.ī ham ne
tum kabhī the na hamāre na kabhī hoge sanam
ye samajhne meñ bahut der lagā.ī ham ne
haa.e dil-kash vo adā.eñ vo dil-āvez nazar
jin meñ uljhe rahe aur 'umr gañvā.ī ham ne
koī shikva na shikāyat na gila hai tum se
apne hī haath se hastī bhī miTā.ī ham ne
rahne vaale haiñ 'sabā' 'arsh-e-barīñ ke vo to
kahkashāñ phir bhī sar-e-farsh bichā.ī ham ne
be-qarari dil-e-muztar ki baDhai hum ne
aaj phir tum se koi aas lagai hum ne
mushkilen rah-e-wafa mein bhi banain aasan
rasm-e-ulfat to ba-har-taur nibhai hum ne
shayad aa jao kisi roz kabhi lauT ke tum
bas usi aas mein har rah sajai hum ne
tum kabhi the na hamare na kabhi hoge sanam
ye samajhne mein bahut der lagai hum ne
hae dil-kash wo adaen wo dil-awez nazar
jin mein uljhe rahe aur 'umr ganwai hum ne
koi shikwa na shikayat na gila hai tum se
apne hi hath se hasti bhi miTai hum ne
rahne wale hain 'saba' 'arsh-e-barin ke wo to
kahkashan phir bhi sar-e-farsh bichai hum ne
- Book : Takhaiyyul (Pg. 109)
- Author : Bubbles Hora Saba
- Publication : Arshia Graphic
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.