be-qarari ho magar phir bhi qarar aa jae
be-qarārī ho magar phir bhī qarār aa jaa.e
vo palaT kar bhī jo dekhe to bahār aa jaa.e
guftugū aisī karo dil ko qarār aa jaa.e
jaise vīrāne meñ chupke se bahār aa jaa.e
kyoñ nazar aa.e bhalā aks-e-mohabbat us meñ
dil ke shīshe pe agar gard-o-ġhubār aa jaa.e
terī āñkhoñ meñ hai bañgāl kā jaadū ab bhī
tū jahāñ dekhe vahāñ terā shikār aa jaa.e
maut se Darne kā mar jā.egā ehsās agar
zindagī phir tire chehre pe nikhār aa jaa.e
tum aqīdat kī sharāboñ kā nasha kyā jaano
ham tasavvur bhī jo kar leñ to ḳhumār aa jaa.e
phuul se chehre pe Thahre hue aañsū 'shātir'
koī dushman bhī agar dekhe to pyaar aa jaa.e
be-qarari ho magar phir bhi qarar aa jae
wo palaT kar bhi jo dekhe to bahaar aa jae
guftugu aisi karo dil ko qarar aa jae
jaise virane mein chupke se bahaar aa jae
kyon nazar aae bhala aks-e-mohabbat us mein
dil ke shishe pe agar gard-o-ghubar aa jae
teri aankhon mein hai bangal ka jadu ab bhi
tu jahan dekhe wahan tera shikar aa jae
maut se Darne ka mar jaega ehsas agar
zindagi phir tere chehre pe nikhaar aa jae
tum aqidat ki sharabon ka nasha kya jaano
hum tasawwur bhi jo kar len to KHumar aa jae
phul se chehre pe Thahre hue aansu 'shatir'
koi dushman bhi agar dekhe to pyar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.