be-qarari si be-qarari hai
be-qarārī sī be-qarārī hai
saañs lenā bhī ab to bhārī hai
maut ko kis liye kareñ badnām
zindagī zindagī se haarī hai
aadmī is se bach nahīñ saktā
vaqt sab se baḌā shikārī hai
kyā huā gar nahīñ ḳhushī apnī
ġham kī jāgīr to hamārī hai
shakl apnī na dekhiye is meñ
aa.ina jo chamak se aarī hai
shaam ke ranj ko bhī yaad rakhe
chaḌhte sūraj kā jo pujārī hai
gulsitāñ aap kā sahī lekin
zindagī kis ne us pe vaarī hai
be-qarari si be-qarari hai
sans lena bhi ab to bhaari hai
maut ko kis liye karen badnam
zindagi zindagi se haari hai
aadmi is se bach nahin sakta
waqt sab se baDa shikari hai
kya hua gar nahin KHushi apni
gham ki jagir to hamari hai
shakl apni na dekhiye is mein
aaina jo chamak se aari hai
sham ke ranj ko bhi yaad rakhe
chaDhte suraj ka jo pujari hai
gulsitan aap ka sahi lekin
zindagi kis ne us pe wari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.