be-qasd safar jate hain malum nahin kyun
be-qasd safar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
phir ḳhud hī Thahar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
ham pyaar se jiine kī duā dete haiñ jin ko
vo log bhī mar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
kuchh log tujhe dekh ke ai fasl-e-bahārāñ
bā-dīda-e-tar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
ik vahm samajhte the haqīqat ko jo kal tak
ab ḳhvāb se Dar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
utre hue chehroñ ko bhī ye kahte sunā hai
kuchh ham se bhī Dar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
ik silsila ashk hai shabnam magar is se
gulzār nikhar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
manzil kī taraf rāh-e-mohabbat ke musāfir
be-raḳht-e-safar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
kuchh dekh ke kuchh soch ke kuchh log jahāñ se
chup-chāp guzar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
kashtī ko Dubo kar usī kashtī ke muhāfiz
ḳhud paar utar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
ghar meñ koī ārām kī sūrat nahīñ phir bhī
thak-hār ke ghar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
haañ aks-e-ruḳh-e-sañg-zada se bhī to ai 'lais'
ā.īne sañvar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
be-qasd safar jate hain malum nahin kyun
phir KHud hi Thahar jate hain malum nahin kyun
hum pyar se jine ki dua dete hain jin ko
wo log bhi mar jate hain malum nahin kyun
kuchh log tujhe dekh ke ai fasl-e-bahaaran
ba-dida-e-tar jate hain malum nahin kyun
ek wahm samajhte the haqiqat ko jo kal tak
ab KHwab se Dar jate hain malum nahin kyun
utre hue chehron ko bhi ye kahte suna hai
kuchh hum se bhi Dar jate hain malum nahin kyun
ek silsila ashk hai shabnam magar is se
gulzar nikhar jate hain malum nahin kyun
manzil ki taraf rah-e-mohabbat ke musafir
be-raKHt-e-safar jate hain malum nahin kyun
kuchh dekh ke kuchh soch ke kuchh log jahan se
chup-chap guzar jate hain malum nahin kyun
kashti ko Dubo kar usi kashti ke muhafiz
KHud par utar jate hain malum nahin kyun
ghar mein koi aaram ki surat nahin phir bhi
thak-haar ke ghar jate hain malum nahin kyun
han aks-e-ruKH-e-sang-zada se bhi to ai 'lais'
aaine sanwar jate hain malum nahin kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.