be-rahm dil ki himaqaton ke asir hain
be-rahm dil kī himāqatoñ ke asiir haiñ
tabhī sar-nigūñ haiñ nadāmatoñ ke asiir haiñ
shab-e-vasl ishq kī chāñdnī kā ġhurūr the
vahī log hijr kī vahshatoñ ke asiir haiñ
hue sar ba-kaf haiñ jo āñdhiyoñ kī uḌaan par
ye charāġh ishq kī hurmatoñ ke asiir haiñ
jinheñ apnī quvvat-e-zabt pe kabhī naaz thā
vahī ashk dard kī shiddatoñ ke asiir haiñ
koī ishq thā jo kisī ke jaane se mar gayā
koī zaḳhm hijr kī iddatoñ ke asiir haiñ
jinheñ ai ḳhudā tirī āyatoñ se hī buġhz hai
vahī bahr-o-bar kī najāsatoñ ke asiir haiñ
kahāñ vo zamīñ ko sunā sake haiñ nidā-e-dil
mire lafz arsh kī vus.atoñ ke asiir haiñ
jinheñ daan kar ke chale ga.e ho azāb-e-jāñ
vo anā-parast se ibratoñ ke asiir haiñ
hamī sher likhte haiñ tīr-o-neza kī nok par
hamī sar-phire haiñ baġhāvatoñ ke asiir haiñ
kabhī tum nayā koī zaḳhm do ki sunā sakūñ
abhī sher ġham kī samā.atoñ ke asiir haiñ
vo ḳhudā-parast 'ḳhalīl' jo sar-e-dār haiñ
ham unhī ke qurb kī lazzatoñ ke asiir haiñ
be-rahm dil ki himaqaton ke asir hain
tabhi sar-nigun hain nadamaton ke asir hain
shab-e-wasl ishq ki chandni ka ghurur the
wahi log hijr ki wahshaton ke asir hain
hue sar ba-kaf hain jo aandhiyon ki uDan par
ye charagh ishq ki hurmaton ke asir hain
jinhen apni quwwat-e-zabt pe kabhi naz tha
wahi ashk dard ki shiddaton ke asir hain
koi ishq tha jo kisi ke jaane se mar gaya
koi zaKHm hijr ki iddaton ke asir hain
jinhen ai KHuda teri aayaton se hi bughz hai
wahi bahr-o-bar ki najasaton ke asir hain
kahan wo zamin ko suna sake hain nida-e-dil
mere lafz arsh ki wusaton ke asir hain
jinhen dan kar ke chale gae ho azab-e-jaan
wo ana-parast se ibraton ke asir hain
hami sher likhte hain tir-o-neza ki nok par
hami sar-phire hain baghawaton ke asir hain
kabhi tum naya koi zaKHm do ki suna sakun
abhi sher gham ki samaaton ke asir hain
wo KHuda-parast 'KHalil' jo sar-e-dar hain
hum unhi ke qurb ki lazzaton ke asir hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.