be-rang-o-nur chand hai yun aasman mein
be-rang-o-nūr chāñd hai yuuñ āsmān meñ
bhūkā faqīr jaise ḳhudā ke dhiyān meñ
chhāñv kā le rahā hai maza dhuup meñ koī
koī sulag rahā hai kahīñ sā.ebān meñ
kis chiiz ko ḳharīdne nikle ho jān-e-man
kyā shai talāsh karte ho ḳhālī dukān meñ
vo muttahid haiñ dars-e-musāvāt ke baġhair
ham dars le ke baT ga.e ansār-o-ḳhān meñ
fursat nahīñ ki fikr-e-marammat kare koī
muddat se ik darār paḌī hai makān meñ
pakkī haveliyoñ meñ Thahar kar lagā 'fahīm'
rishtoñ kā ehtirām hai kachche makān meñ
be-rang-o-nur chand hai yun aasman mein
bhuka faqir jaise KHuda ke dhiyan mein
chhanw ka le raha hai maza dhup mein koi
koi sulag raha hai kahin saeban mein
kis chiz ko KHaridne nikle ho jaan-e-man
kya shai talash karte ho KHali dukan mein
wo muttahid hain dars-e-musawat ke baghair
hum dars le ke baT gae ansar-o-KHan mein
fursat nahin ki fikr-e-marammat kare koi
muddat se ek darar paDi hai makan mein
pakki haweliyon mein Thahar kar laga 'fahim'
rishton ka ehtiram hai kachche makan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.