be-rozgar hi sahi KHuddar main bhi hun
be-rozgār hī sahī ḳhuddār maiñ bhī huuñ
apnī rah-e-hayāt meñ dīvār maiñ bhī huuñ
do chaar saal aur hai nā-qadrī-e-suḳhan
murda-parast shahr kā fankār maiñ bhī huuñ
tashkīk dil meñ sar meñ junūñ lab pe gāliyāñ
kyā rūh-e-asr kī tarah bīmār maiñ bhī huuñ
shahr-e-munāfiqat meñ basar kar rahā huuñ maiñ
lagtā hai apne 'ahd kā autār maiñ bhī huuñ
be-rozgar hi sahi KHuddar main bhi hun
apni rah-e-hayat mein diwar main bhi hun
do chaar sal aur hai na-qadri-e-suKHan
murda-parast shahr ka fankar main bhi hun
tashkik dil mein sar mein junun lab pe galiyan
kya ruh-e-asr ki tarah bimar main bhi hun
shahr-e-munafiqat mein basar kar raha hun main
lagta hai apne 'ahd ka autar main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.