be-ruḳh hai vo parī dil-e-dīvāna kyā kare
ro ro ke aañkh bhartī hai paimāna kyā kare
dast-o-zabān-o-dīda-o-dil detī haiñ duā
karte haiñ vo yagāne ki begāna kyā kare
kahtā hī murġh-e-dil se vo hāl-e-myān-e-ḳhat
sabza jo daam ho to use daana kyā kare
bebas kiyā hai mujh ko sar-e-zulf-e-yār ne
zanjīr paañv meñ ho to dīvāna kyā kare
jaadū hai aañkh surma na kyūñ-kar rahe ḳhamosh
sarkash hī zulf kāñdhe na de shāna kyā kare
dil ko na daaġh dījiye bose kī chaaT par
jo bechtā na hove vo bai.āna kyā kare
be-ruKH hai wo pari dil-e-diwana kya kare
ro ro ke aankh bharti hai paimana kya kare
dast-o-zaban-o-dida-o-dil deti hain dua
karte hain wo yagane ki begana kya kare
kahta hi murgh-e-dil se wo haal-e-myan-e-KHat
sabza jo dam ho to use dana kya kare
bebas kiya hai mujh ko sar-e-zulf-e-yar ne
zanjir panw mein ho to diwana kya kare
jadu hai aankh surma na kyun-kar rahe KHamosh
sarkash hi zulf kandhe na de shana kya kare
dil ko na dagh dijiye bose ki chaT par
jo bechta na howe wo baiana kya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.