Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-ruKHi der tak nahin rahti

Murtaza Bismil

be-ruKHi der tak nahin rahti

Murtaza Bismil

MORE BYMurtaza Bismil

    be-ruḳhī der tak nahīñ rahtī

    barhamī der tak nahīñ rahtī

    vasl ke baa'd hijr aatā hai

    dilkashī der tak nahīñ rahtī

    yaar sūraj ġhurūb phir hogā

    raushnī der tak nahīñ rahtī

    'āshiqī der tak to rahtī hai

    zindagī der tak nahīñ rahtī

    baat ye hai ki dil ke dariyā meñ

    jal-parī der tak nahīñ rahtī

    zaḳhm-e-dil rahtā hai hamesha harā

    be-hisī der tak nahīñ rahtī

    bāteñ dānā.ī vo kartā hai

    kam-sinī der tak nahīñ rahtī

    dosto qutb shah ke kamre meñ

    mushtarī der tak nahīñ rahtī

    taḳht pal meñ ulaTte haiñ 'bismil'

    khusravī der tak nahīñ rahtī

    jab bhī aatī hai mere hujre meñ

    vo kabhī der tak nahīñ rahtī

    maiñ huuñ kal mātamī 'bismil'

    ḳhush-dilī der tak nahīñ rahtī

    be-ruKHi der tak nahin rahti

    barhami der tak nahin rahti

    wasl ke ba'd hijr aata hai

    dilkashi der tak nahin rahti

    yar suraj ghurub phir hoga

    raushni der tak nahin rahti

    'ashiqi der tak to rahti hai

    zindagi der tak nahin rahti

    baat ye hai ki dil ke dariya mein

    jal-pari der tak nahin rahti

    zaKHm-e-dil rahta hai hamesha hara

    be-hisi der tak nahin rahti

    baaten danai ki wo karta hai

    kam-sini der tak nahin rahti

    dosto qutb shah ke kamre mein

    mushtari der tak nahin rahti

    taKHt pal mein ulaTte hain 'bismil'

    khusrawi der tak nahin rahti

    jab bhi aati hai mere hujre mein

    wo kabhi der tak nahin rahti

    main hi hun kal ka matami 'bismil'

    KHush-dili der tak nahin rahti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now