be-ruKHi hai ki taghaful hai saza hai kya hai
be-ruḳhī hai ki taġhāful hai sazā hai kyā hai
mehrbāñ ġhair pe kyoñ itnā huā hai kyā hai
mere aane se faqat bazm sarāsīma hai kyoñ
aaj mahfil meñ jo ik shor bapā hai kyā hai
jaam auqāt se zaa.id nahīñ detā hai na de
sāqiyā kuchh bhī na dene pe tulā hai kyā hai
'ishq se qabl na samjhā thā jo ab samjhā huuñ
shaiḳh sāhib ne jo irshād kiyā hai kyā hai
shauq kahtā thā ki sab qaid karegā manzar
taab jalvoñ kī magar lā na sakā hai kyā hai
naam le kar jo sar-e-bazm pukārā un ko
har koī chīḳh uThā boliye kyā hai kyā hai
jang jaarī hai musalsal mire andar 'ahmar'
'ājizī hai ki tamāshā hai anā hai kyā hai
be-ruKHi hai ki taghaful hai saza hai kya hai
mehrban ghair pe kyon itna hua hai kya hai
mere aane se faqat bazm sarasima hai kyon
aaj mahfil mein jo ek shor bapa hai kya hai
jam auqat se zaid nahin deta hai na de
saqiya kuchh bhi na dene pe tula hai kya hai
'ishq se qabl na samjha tha jo ab samjha hun
shaiKH sahib ne jo irshad kiya hai kya hai
shauq kahta tha ki sab qaid karega manzar
tab jalwon ki magar la na saka hai kya hai
nam le kar jo sar-e-bazm pukara un ko
har koi chiKH uTha boliye kya hai kya hai
jang jari hai musalsal mere andar 'ahmar'
'ajizi hai ki tamasha hai ana hai kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.