be-ruKHi se na pesh aa saqi
be-ruḳhī se na pesh aa saaqī
TuuT jā.egā dil mirā saaqī
bhuul jā.ūñ maiñ ranj-o-ġham saare
aaj aisā nasha pilā saaqī
mai-kashoñ se hijāb kyā ma.anī
sāmne be-naqāb aa saaqī
aah maazī mirā hasīñ maazī
lauT kar ab na aa.egā saaqī
raaz merī siyāh-baḳhtī kā
kaun jaane mire sivā saaqī
dasht-e-ġham meñ bhaTak gayā huuñ maiñ
raah koī mujhe dikhā saaqī
dair-o-ka.aba meñ ghuum kar 'nayyar'
terī mahfil meñ aa gayā saaqī
be-ruKHi se na pesh aa saqi
TuT jaega dil mera saqi
bhul jaun main ranj-o-gham sare
aaj aisa nasha pila saqi
mai-kashon se hijab kya mani
samne be-naqab aa saqi
aah mazi mera hasin mazi
lauT kar ab na aaega saqi
raaz meri siyah-baKHti ka
kaun jaane mere siwa saqi
dasht-e-gham mein bhaTak gaya hun main
rah koi mujhe dikha saqi
dair-o-kaba mein ghum kar 'nayyar'
teri mahfil mein aa gaya saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.