be-sabab ai dil-e-nadan kahin lauTa to nahin
be-sabab ai dil-e-nadan kahin lauTa to nahin
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
be-sabab ai dil-e-nādāñ kahīñ lauTā to nahīñ
us ne āvāz hī dī hai tujhe rokā to nahīñ
zarā chehre se naqāb utre to ham bhī dekheñ
kahīñ talbīs ke pīchhe nayā chehra to nahīñ
tum ne ḳhvāboñ kī tijārat bhalā kaise kī hai
ishq lāhiq ho jise vo kabhī sotā to nahīñ
shahr-e-āshob ke hāthoñ meñ haiñ patthar kyūñkar
hai janāza sar-e-bāzār tamāsha to nahīñ
tum jo kahte ho nikal jaatā huuñ maiñ chup kar ke
dil hī hai nūh-nabī kā ye safīna to nahīñ
is meñ shāmil hai raqīboñ kī bhī kuchh sāzish sī
lauh-e-taqdīr pe ye hijr navishta to nahīñ
dil-ba-dar kar to rahe ho mujhe par yaad rahe
maiñ abūzar to nahīñ aur ye madīna to nahīñ
har ghaḌī dil se lagā.e hue rahte ho use
us kī tahrīr hai bas koī sahīfa to nahīñ
jis se bhī haath milāyā hai vo pur-josh milā
jis meñ rahtā huuñ maiñ 'zamzam' kahīñ kuufa to nahīñ
be-sabab ai dil-e-nadan kahin lauTa to nahin
us ne aawaz hi di hai tujhe roka to nahin
zara chehre se naqab utre to hum bhi dekhen
kahin talbis ke pichhe naya chehra to nahin
tum ne KHwabon ki tijarat bhala kaise ki hai
ishq lahiq ho jise wo kabhi sota to nahin
shahr-e-ashob ke hathon mein hain patthar kyunkar
hai janaza sar-e-bazar tamasha to nahin
tum jo kahte ho nikal jata hun main chup kar ke
dil hi hai nuh-nabi ka ye safina to nahin
is mein shamil hai raqibon ki bhi kuchh sazish si
lauh-e-taqdir pe ye hijr nawishta to nahin
dil-ba-dar kar to rahe ho mujhe par yaad rahe
main abuzar to nahin aur ye madina to nahin
har ghaDi dil se lagae hue rahte ho use
us ki tahrir hai bas koi sahifa to nahin
jis se bhi hath milaya hai wo pur-josh mila
jis mein rahta hun main 'zamzam' kahin kufa to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.