be-sabab bar bar aati hai
be-sabab baar baar aatī hai
yaad be-iḳhtiyār aatī hai
kis ko darkār hai ye rang-o-bū
kis kī ḳhātir bahār aatī hai
ek āvāz apne chehre ko
ghar ke bāhar utaar aatī hai
apnī betābiyoñ ko kam kar leñ
mauj dariyā ke paar aatī hai
din to sotā hai rāt-bhar 'mīrā'
shab kahāñ din guzār aatī hai
be-sabab bar bar aati hai
yaad be-iKHtiyar aati hai
kis ko darkar hai ye rang-o-bu
kis ki KHatir bahaar aati hai
ek aawaz apne chehre ko
ghar ke bahar utar aati hai
apni betabiyon ko kam kar len
mauj dariya ke par aati hai
din to sota hai raat-bhar 'mira'
shab kahan din guzar aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.