be-sabab chaak par dhare the hum
be-sabab chaak par dhare the ham
bante bante bhī kyā bane the ham
zabt-e-ġham haar hī gayā āḳhir
us ko dekhā to ro paḌe the ham
tujh ko kāñTe kahāñ se lag jaate
aage aage jo chal rahe the ham
hādisa kis taraf ko le aayā
ghar se kyā soch kar chale the ham
sach batā ḳhāliq-e-jahān-e-ḳharāb
is tamāshe ko hī bane the ham
ho ga.ī shaam tab milī duniyā
saarā din DhūñDe phire the ham
be-sabab chaak par dhare the hum
bante bante bhi kya bane the hum
zabt-e-gham haar hi gaya aaKHir
us ko dekha to ro paDe the hum
tujh ko kanTe kahan se lag jate
aage aage jo chal rahe the hum
hadisa kis taraf ko le aaya
ghar se kya soch kar chale the hum
sach bata KHaliq-e-jahan-e-KHarab
is tamashe ko hi bane the hum
ho gai sham tab mili duniya
sara din DhunDe phire the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.