be-sabab hansne muskurane se
be-sabab hañsne muskurāne se
ranj chhup jā.egā zamāne se
vaqt kī vāpsī nahīñ hotī
ghaḌī kī sūiyāñ ghumāne se
āgahī kā maraz lagā ham ko
ik mohabbat ke kār-ḳhāne se
kitne manzar badal ga.e haiñ dost
ghar kī dīvār ko girāne se
ham pe vājib thā ehtirām us kā
us ko nisbat thī ik gharāne se
be-sabab hansne muskurane se
ranj chhup jaega zamane se
waqt ki wapsi nahin hoti
ghaDi ki suiyan ghumane se
aagahi ka maraz laga hum ko
ek mohabbat ke kar-KHane se
kitne manzar badal gae hain dost
ghar ki diwar ko girane se
hum pe wajib tha ehtiram us ka
us ko nisbat thi ek gharane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.