be-sabab hi idhar-udhar jata
be-sabab hī idhar-udhar jaatā
tum nahīñ hote to bikhar jaatā
phuul kī tarah tum agar khilte
itr kī tarah maiñ bikhar jaatā
ḳhvāb dekhe the har jagah ham ne
chhoḌ kar shahr ye kidhar jaatā
baat ye hai ki ye judā.ī hai
hādisa hotā to guzar jaatā
phir judā honā hotā nā-mumkin
jism meñ jism gar utar jaatā
be-sabab hi idhar-udhar jata
tum nahin hote to bikhar jata
phul ki tarah tum agar khilte
itr ki tarah main bikhar jata
KHwab dekhe the har jagah hum ne
chhoD kar shahr ye kidhar jata
baat ye hai ki ye judai hai
hadisa hota to guzar jata
phir juda hona hota na-mumkin
jism mein jism gar utar jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.