be-sabab hi koi patthar to na aaya hoga
be-sabab hī koī patthar to na aayā hogā
ā.īna aap ne auroñ ko dikhāyā hogā
vo dīvāna jo mohabbat se shanāsā hogā
us ne is raah meñ kyā kuchh na luTāyā hogā
dasht pahle kī tarah aaj bhī pyāsā hogā
abr barsā bhī to dariyāoñ pe barsā hogā
qahqaha baar thā jo shaḳhs bharī mahfil meñ
aa ke tanhā.ī meñ kuchh soch ke royā hogā
haal gulshan kā asīrān-e-qafas kyā jāneñ
ai sabā tū hī batā tū ne to dekhā hogā
kaun is dhuup meñ kamre se nikaltā 'anvar'
jis ko chalnā thā kaḌī dhuup meñ chaltā hogā
be-sabab hi koi patthar to na aaya hoga
aaina aap ne auron ko dikhaya hoga
wo diwana jo mohabbat se shanasa hoga
us ne is rah mein kya kuchh na luTaya hoga
dasht pahle ki tarah aaj bhi pyasa hoga
abr barsa bhi to dariyaon pe barsa hoga
qahqaha bar tha jo shaKHs bhari mahfil mein
aa ke tanhai mein kuchh soch ke roya hoga
haal gulshan ka asiran-e-qafas kya jaanen
ai saba tu hi bata tu ne to dekha hoga
kaun is dhup mein kamre se nikalta 'anwar'
jis ko chalna tha kaDi dhup mein chalta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.