be-sabab jo bhi muskuraata hai
be-sabab jo bhī muskurātā hai
dil ke zaḳhmoñ ko vo chhupātā hai
saarī duniyā udaas lagtī hai
jab koī apnā ruuTh jaatā hai
dil kā rishta ajiib rishta hai
ek lamhe meñ TuuT jaatā hai
jaane kyā baat hai hathelī par
naam likh kar mirā miTātā hai
chāñdnī ruuh meñ mahaktī hai
koī jis vaqt yaad aatā hai
ḳhvāb bantā hai jab bhī mustaqbil
merā maazī nazar milātā hai
'tāj' us se mirā ta.alluq kyā
mere sar kī qasam jo khātā hai
be-sabab jo bhi muskuraata hai
dil ke zaKHmon ko wo chhupata hai
sari duniya udas lagti hai
jab koi apna ruTh jata hai
dil ka rishta ajib rishta hai
ek lamhe mein TuT jata hai
jaane kya baat hai hatheli par
nam likh kar mera miTata hai
chandni ruh mein mahakti hai
koi jis waqt yaad aata hai
KHwab banta hai jab bhi mustaqbil
mera mazi nazar milata hai
'taj' us se mera talluq kya
mere sar ki qasam jo khata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.