be-sabab kaun KHun rota hai
be-sabab kaun ḳhuun rotā hai
dard sā ek dil meñ hotā hai
kyoñ mohabbat meñ jaan khotā hai
dahr meñ kaun kis kā hotā hai
aah kaisī hai raat furqat kī
jāgtā huuñ nasīb sotā hai
dīda-e-tar kā hausla dekho
mujh ko mañjdhār meñ Dubotā hai
tang aa kar firāq meñ 'hājir'
zindagānī se haath dhotā hai
be-sabab kaun KHun rota hai
dard sa ek dil mein hota hai
kyon mohabbat mein jaan khota hai
dahr mein kaun kis ka hota hai
aah kaisi hai raat furqat ki
jagta hun nasib sota hai
dida-e-tar ka hausla dekho
mujh ko manjdhaar mein Dubota hai
tang aa kar firaq mein 'hajir'
zindagani se hath dhota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.