be-sabab kyon ho pareshan kahan jaoge
be-sabab kyon ho pareshan kahan jaoge
Shameem Farooq Banspari
MORE BYShameem Farooq Banspari
be-sabab kyoñ ho pareshān kahāñ jāoge
shab añdherī hai mirī jaan kahāñ jāoge
rang laa.eñ mire aañsū mire naale na kahīñ
bād-o-bārāñ kā hai imkān kahāñ jāoge
uf ye tūfān-e-tarannum ye jhanaktī paa.el
shab meñ is tarah bil-elān kahāñ jāoge
do qadam chalte ho aur chal ke Thahar jaate ho
aao jaanā nahīñ āsān kahāñ jāoge
ye javānī kā ubhār aur ye fitrat kā dabāo
le ke uThtā huā tūfān kahāñ jāoge
raat kā vaqt hai tanhā ho zamāna hai ḳharāb
apne uupar karo ehsān kahāñ jāoge
log uThte haiñ ibādat ke liye pichhle pahar
Dagmagā jā.eñge īmān kahāñ jāoge
raah meñ ganj-e-shahīdāñ se paḌegā paalā
hashr uThne kā hai imkān kahāñ jāoge
DhūñDhne nikle to ho dil kā sukūñ ai 'fārūq'
saarī duniyā hai pareshān kahāñ jāoge
be-sabab kyon ho pareshan kahan jaoge
shab andheri hai meri jaan kahan jaoge
rang laen mere aansu mere nale na kahin
baad-o-baran ka hai imkan kahan jaoge
uf ye tufan-e-tarannum ye jhanakti pael
shab mein is tarah bil-elan kahan jaoge
do qadam chalte ho aur chal ke Thahar jate ho
aao jaana nahin aasan kahan jaoge
ye jawani ka ubhaar aur ye fitrat ka dabao
le ke uThta hua tufan kahan jaoge
raat ka waqt hai tanha ho zamana hai KHarab
apne upar karo ehsan kahan jaoge
log uThte hain ibaadat ke liye pichhle pahar
Dagmaga jaenge iman kahan jaoge
rah mein ganj-e-shahidan se paDega pala
hashr uThne ka hai imkan kahan jaoge
DhunDhne nikle to ho dil ka sukun ai 'faruq'
sari duniya hai pareshan kahan jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.