Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-sada kyunkar hua be-dast-o-pa kyunkar hua

Asrar Zaidi

be-sada kyunkar hua be-dast-o-pa kyunkar hua

Asrar Zaidi

MORE BYAsrar Zaidi

    be-sadā kyūñkar huā be-dast-o-pā kyūñkar huā

    maiñ qafas meñ bhī na thā phir bhī rihā kyūñkar huā

    āshnā jitne bhī the nā-āshnā kyūñkar hue

    hādisa ye bhī huā kaise huā kyūñkar huā

    sub.h pahlī kiran mehr-e-munavvar kab huī

    har bagūla mauja-e-bād-e-sabā kyūñkar huā

    bām-o-dar par jā-ba-jā parchhā.iyoñ ke aks the

    ghar ye manzar bhī lekin ḳhushnumā kyūñkar huā

    Dūbnā Thahrā to phir kachche ghaḌe shart kyā

    vo sadā sañg-dil dard-āshnā kyūñkar huā

    sho.abada-bāzī kahāñ kār-e-masīhā.ī huī

    aadmī jab aadmī Thahrā ḳhudā kyūñkar huā

    ḳhāmushī kitne jazboñ pata detī rahī

    naala gar pāband-e-nai thā nā-rasā kyūñkar huā

    be-sada kyunkar hua be-dast-o-pa kyunkar hua

    main qafas mein bhi na tha phir bhi riha kyunkar hua

    aashna jitne bhi the na-ashna kyunkar hue

    hadisa ye bhi hua kaise hua kyunkar hua

    subh ki pahli kiran mehr-e-munawwar kab hui

    har bagula mauja-e-baad-e-saba kyunkar hua

    baam-o-dar par ja-ba-ja parchhaiyon ke aks the

    ghar ka ye manzar bhi lekin KHushnuma kyunkar hua

    Dubna Thahra to phir kachche ghaDe ki shart kya

    wo sada ka sang-dil dard-ashna kyunkar hua

    shoabada-bazi kahan kar-e-masihai hui

    aadmi jab aadmi Thahra KHuda kyunkar hua

    KHamushi kitne hi jazbon ka pata deti rahi

    nala gar paband-e-nai tha na-rasa kyunkar hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now