be-sada se shahr mein kuchh log tanha rah gae
be-sadā se shahr meñ kuchh log tanhā rah ga.e
aañkh se aañsū gire aur ḳhvāb saare bah ga.e
be-ḳhabar sī raat meñ sunsān galiyoñ ke charāġh
ratjagoñ kī chaah meñ kyā kyā diloñ par sah ga.e
dekhne se lag rahā hai aap bhī vāqif se haiñ
jin pe nāzāñ the kabhī ye baat ham ko kah ga.e
kyā kareñ shikva kisī se zindagī kā ham miyāñ
sunñe vaale sunte sunte kab ke zer-e-tah ga.e
zindagī kī dhuup meñ saaya thā jin ke naam kā
kyā hue vo pyaar ke mīnār kaise Dhah ga.e
kyā huā jo chaal chalte miT ga.e ham piT ga.e
ham payāde the magar maidāñ meñ ban ke shah ga.e
kis nagar meñ shams Duubā taare bhaTke kis taraf
kis jahāñ meñ raat Thahrī jugnū bādal mah ga.e
be-sada se shahr mein kuchh log tanha rah gae
aankh se aansu gire aur KHwab sare bah gae
be-KHabar si raat mein sunsan galiyon ke charagh
ratjagon ki chah mein kya kya dilon par sah gae
dekhne se lag raha hai aap bhi waqif se hain
jin pe nazan the kabhi ye baat hum ko kah gae
kya karen shikwa kisi se zindagi ka hum miyan
sunne wale sunte sunte kab ke zer-e-tah gae
zindagi ki dhup mein saya tha jin ke nam ka
kya hue wo pyar ke minar kaise Dhah gae
kya hua jo chaal chalte miT gae hum piT gae
hum payaade the magar maidan mein ban ke shah gae
kis nagar mein shams Duba tare bhaTke kis taraf
kis jahan mein raat Thahri jugnu baadal mah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.