be-samar mausamon mein janmi hun
be-samar mausamoñ meñ janmī huuñ
zard pattoñ kā dukh samajhtī huuñ
raftagāñ bhed oḌh lete haiñ
apne abbā kī qabr DhūñDhtī huuñ
merā bachpan bichhaḌ gayā mujh se
ik sahelī se ruuTh baiThī huuñ
ḳhāmushī kī guphāoñ meñ aksar
apnī āvāz sun ke sahmī huuñ
ghar kī dīvār meñ hī rahtā hai
ek saa.e se Dartī rahtī huuñ
mujh ko bārish aziiz hai lekin
khiḌkiyāñ band kar ke rotī huuñ
ḳhvāb haiñ yā ḳhayāl kī duniyā
raftagāñ ke qarīb rahtī huuñ
vo jo ik bevafā kī ḳhātir the
ab unhī āñsuoñ pe hañstī huuñ
aap hī apnī maañ rahī huuñ 'sahar'
maañ hī jaisī dikhā.ī detī huuñ
be-samar mausamon mein janmi hun
zard patton ka dukh samajhti hun
raftagan bhed oDh lete hain
apne abba ki qabr DhunDhti hun
mera bachpan bichhaD gaya mujh se
ek saheli se ruTh baiThi hun
KHamushi ki guphaon mein aksar
apni aawaz sun ke sahmi hun
ghar ki diwar mein hi rahta hai
ek sae se Darti rahti hun
mujh ko barish aziz hai lekin
khiDkiyan band kar ke roti hun
KHwab hain ya KHayal ki duniya
raftagan ke qarib rahti hun
wo jo ek bewafa ki KHatir the
ab unhi aansuon pe hansti hun
aap hi apni man rahi hun 'sahar'
man hi jaisi dikhai deti hun
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.