be-samar sohbaton se behtar hain
be-samar sohbatoñ se behtar haiñ
ranjisheñ ulfatoñ se behtar haiñ
saañp achchhe nahīñ yaqīnan na.iiñ
par mire dostoñ se behtar haiñ
hāsil-e-ishq hai ye ik jumla
fāsle qurbatoñ se behtar haiñ
kārhā-e-havas meñ haiñ mashġhūl
mashġhale fursatoñ se behtar haiñ
rāste rāstī ke mat chhoḌo
vādiyāñ parbatoñ se behtar haiñ
qufl behtar nahīñ zabānoñ par
haañ magar ġhībatoñ se behtar haiñ
ham haiñ behtar ka.ī balāoñ se
vo ka.ī āfatoñ se behtar haiñ
aap aur ham meñ farq hai itnā
aap kuchh nisbatoñ se behtar haiñ
bad-gumānoñ se dūriyāñ 'āsī'
ḳhvā-maḳhvāh hujjatoñ se behtar haiñ
be-samar sohbaton se behtar hain
ranjishen ulfaton se behtar hain
sanp achchhe nahin yaqinan nain
par mere doston se behtar hain
hasil-e-ishq hai ye ek jumla
fasle qurbaton se behtar hain
karha-e-hawas mein hain mashghul
mashghale fursaton se behtar hain
raste rasti ke mat chhoDo
wadiyan parbaton se behtar hain
qufl behtar nahin zabanon par
han magar ghibaton se behtar hain
hum hain behtar kai balaon se
wo kai aafaton se behtar hain
aap aur hum mein farq hai itna
aap kuchh nisbaton se behtar hain
bad-gumanon se duriyan 'asi'
KHwa-maKHwah hujjaton se behtar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.